The same poem in Hindi. All credit goes to my friend. She writes at: Dhiiti
tum meri zindagi mein aaye
meri aankhon ke saamne
ek safar karne
shayad ek tarfa
woh thanda samah, aas pas ka shor
tak tak
meri or
tumpe koi na pada asar
tumhe aur tumhare astitva ko
khushi ke chakkar
mere daftar ke andar
tumhari vella-panti
tumhare liye, humari jagah sirf rahi ek maze ki baat
ek hi tarah ki aawaz karte hue
aur shayad baatcheet
un unsuni bhashaon mein
kisi bhi tarah ka na tha sangeet
pareshan hairaan
zor se maara
aur bola- tumhari aatma ko shanti mile
arre bevkoof macchar!!
No comments:
Post a Comment